dil mein ab yun tere bhule hue gham aate

dil mein ab yun tere bhule hue gham aate
jaise bichhDe hue kabe mein sanam aate hain
EkEk kar ke hue jãte hain tare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
raqs-e-mai tez karo saz ki lai tez karo
su-e-mai-KHana safiran-e-haram aate hain
kuchh hamin ko nahin ehsan uThane ka dimagh
wo to jab aate hain mail-ba-karam aate hain
aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yaad bhi kam aate hain

Post a Comment

0 Comments