apne honTon par sajaana chahta hun

apne honTon par sajaana chahta hun
aa tujhe main gungunana chahta hun
koi aansu tere daman par gira kar
bund ko moti banana chahta hun
thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chahta hun
chha raha hai sari basti mein andhera
raushni ko, ghar jalana chahta hun
aaKHri hichki tere zanu pe aae
maut bhi main shairana chahta hun

Post a Comment

0 Comments