apne hathon ki lakiron mein saja le mujhko

apne hāthoñ lakīroñ meñ sajā le mujh ko
maiñ huuñ terā nasīb apnā banā le mujh ko
maiñ jo kāñTā huuñ to chal mujh se bachā kar dāman
maiñ huuñ gar phuul to juuḌe meñ sajā le mujh ko
tark-e-ulfat qasam bhī koī hotī hai qasam
kabhī yaad to kar bhūlne vaale mujh ko
mujh se pūchhne aayā hai vafā ke ma.anī
ye tirī sāda-dilī maar na Daale mujh ko
maiñ samundar bhī huuñ motī bhī huuñ ġhota-zan bhī
koī bhī naam mirā le ke bulā le mujh ko
ne dekhā nahīñ ā.īne se aage kuchh bhī
ḳhud-parastī meñ kahīñ na gañvā le mujh ko
bāñdh kar sañg-e-vafā kar diyā ne ġharqāb
kaun aisā hai jo ab DhūñDh nikāle mujh ko
ḳhud ko maiñ baañT na Dālūñ kahīñ dāman dāman
kar diyā ne agar mere havāle mujh ko
maiñ khule dar ke kisī ghar huuñ sāmāñ pyāre
dabe-pāñv kabhī aa ke churā le mujh ko
kal baat aur hai maiñ ab rahūñ na rahūñ
jitnā chāhe tirā aaj satā le mujh ko
baada phir baada hai maiñ zahr bhī jā.ūñ 'qatīl'
shart ye hai koī bāñhoñ meñ sambhāle mujh ko

Post a Comment

0 Comments